My Sex story
Akash…. oh…. Akash kya kar rahe ho beta kitni der se tum ko awaj derahi hu.. Aur tu he ki sun hi nahi raha he..
Par apni maa ke awaj ki koi parwah kiye bager Akash andar betha TV dekh raha tha… usne apni maa ki awaj sunkar bhi koi jawab nahi diya…
Par uski maa usko fir se lagatar 3-4 bar awaj deti he jisse Akash pareshan hokar bahar ajata he aur apni maa se kehta he…
Akash – kya huwa maa kyu chilla rahi ho thik se TV bhi dekhne nahi deti bolo kya kam he…
Maa( chule par roti pakate huwe)- sara din TV hi toh dekhta rehta he ja jakar nal par se pani lea ab toh sham ke waqt NAL par Jada bhid bhi na rehti..
Pani ka naam sunkar Akash burasa muh bana kar kehta he…
Akash- mujhe nahi bharna koi pani-wani……. Aur andar jane lagta he…
Akash- mene ik bar kaha na ki mai nahi jaunga toh nahi jaunga bas…
Aur na jane uski maa kya2 bolti gai jiska natija yeh huwa ki Akash ne pareshan hokar apni saikil utha li Aur uspar 35 liter ke 2 can laga kar chal pada NAL par pani lane par jate2 bhi apni maa ko keh gaya….
Akash- Aap logo ko koi Lena dena nahi he is bat se ki mene aage ki padhai kyu nahi ki yeh Meri jindagi he mai kuch bhi karu…
ik ajib tarha ka ladka bangaya tha woh in kuch mahino me. Har samay khush rehne wala Aur Kisi ke bhi koi bhi kam bina koi sawal ke karne wala ladka achanak se badal gaya tha.
Akash ko 10th me bade achhe no. mile the jiske madad se woh apne gharwalo ka sapna Jo isko ik architect engineer banta dekhna chate the woh pura kar sakta tha..
Khairr.. Akash apne gusse se bhara huwa NAL par pahuch jata he (Jo ki us gav ke sare gharo se thoda dur tha) Aur jese hi woh waha pani bhar rahi ladkiyo ko dekhta he toh woh wahi ruk sa gaya..
Aur woh thi AKSHADA (Akash ki bacpan ki dost jis se fir jawan hote hote bato ki duriya badh gai thi) jisko Akash Aaj kitne mahino bad dekh raha tha.. Aur uske pyare se chehre ko dekh kar Akash apni hi jaga par thamsa gaya tha.. uski dhadkane ruk si gai par fir achanak se uska dil jorose dhadakne laga. Usko najane kyu par akashda ko dekh kar usko aisa mehsus hota he jese usko duniya bhar ki khushiya mil gai ho. Aur uski khushi saf dekheja sakti thi…
Aur yeh sab chije dekhne ke bad Akash ka dil rone laga usko ESA lag raha tha jese yeh sari chije uske dil ke tukde tukde kar rahi ho..
Usko dekhte huwe Akash apni tandra me najane kitne jakham apne dil par Aur sehta raha… fir usko hosh tab aya jab unme se ik ladki dusri adki par unki bhasha me chilla rahi thi…
Akash jakar akshada jis NAL par pani bhar rahi thi uske dusre side wale NAL ki taraf apne cans rakh kar Aur Apni gardan niche rakh kar uspe beth jata he.. woh jis taraf ke NAL par pani bharne ke liye betha tha, us taraf ke NAL par Sirf ik ladki apne hundi( ghade) me pani bhar rahi thi Aur baki sab akshada ki taraf ke nal par thi..
Par Aaj woh apne adhure pyar ka jimmedar is bechare NAL ko manta tha.. kyu ki agar yeh na hota toh Akash ko akshada se pyar na hota.. aur na hi baki sab hota.. Aur sab se badi bat na hi usko apna pyar adhura rehne ka woh dard milta..
Isse pahle ki Akash us NAL ko Aur kosta uspar kuch pani ke bundo ka chidkao huwa.. jiske karan Akash hadbada kar aage dekhta he. Akash ke is hadbadat ko dekh kar waha akshada ko chodh kar sari ladkiya khilkhila kar hasne lagti he. Fir unmese jisne Akash par pani ka chidkav kiya tha/ Jo uski taraf ke NAL par thi woh usko kehti he..
Ladki – mene tumko 2bar awaj lagai thi kyu ki Meri handi bhar gai he. par tum ho ki kahi khoye huwe the. Is liye tum par pani feka tha. Chalo ab pani bharlo pani jane wala he..
Akash ka can abhi thoda hi bhara tha ki tabhi ik hath akar uske NAL ko thoda ghuma deta he. Jisse uske taraf ke NAL ka pani kam hokar ustaraf ke NAL ke pani ki speed badhti he.
Apne taraf ke NAL ki speed kam ki jane se Akash ko gussa ata he aur woh us hath wali ladki ko kuch bolne ke liye jese hi upar dekhta he. Uska gussa najane kaha gayab ho jata he kyu ki woh ladki koi aur nahi AKSHADA thi.
par Aaj tum puri tarha se uski ho chuki ho AKSHADA Aur tum ab bhi wahi sab mujhe yad dilakar mere unjakhmo ko Aur gehra bana rahi ho…..
Isse aage ki Akash apne ankho me jama unansuo ko baha deta uske kano me akshada ki payri si awaj sunai deti he..
Akshada – kese ho Akash?
Uff… kya fill kar raha tha Akash us waqt yeh Bata pana mere liye bahut mushkil he..
Kherr.. Akash apni sari bhavnao ko chupate huwe usko jawab deta he..
Akash- th… ik huuu tum bo…lo kesi… ho..
Fir akshada Akash se- mai bilkul thik hu par tum istarha kyu hakla rahe ho.
Akshada ke is sawal ka jawab Akash se nahi diya jata Aur woh idhar udhar dekhne lagta he..( ab woh kehta bhi toh kya ki woh jis ladkise dilojaan se chahta tha woh Aaj usse pahli bar bat kar raha he..)
Akshada fir se – kya huwa ab chup ho gaye..
Akash – Ku..CH bhi to..h nahi mujhe kya ho..ga
Akashada- toh tum hakla kyu rahe ho..
Khud ko thik karte huwe Akash- are kuch nahi. bas itne dino bad Meri ek achhi dost mujhse achanak bat kar rahi he is liye thodisi juban ladkhada rahi thi..
Akshada kuch der shant rehti he fir jane kya sochkar fir se bat karti he..
Akshada- wese suna tha ki tum is sal kafi achhe no se pass huwe the Aur sarpanchji ne(Akash ke pitah) gav walo ko bahut achhi dawat di thi.. mujhe kafi khushi Hui thi yeh bat jankar tum ko bahut2 badhai ho.. Wese tum aage padhlikhke kya banna chahoge..
Akshada ki batse Akash usko ese dekhta he jese usne koi Galat bat Galat samay par kardi ho. Fir usse kehta he.
Akash- tumhara thanks par ab mene aage ki padhai chodh di he. Ab isse aage mai nahi padhne wala..
Akash- ha yeh sach tha ki mujhe padhlikhkar bada admi banna tha. Par ab mujhe nahi padhna Aur nahi Kisi ko iski WAJAH batani he ki kyu mene yeh faisla liya..
(Ab tak Akash ke cans bhar chuke the. Is liye woh unko nikal kar apni saikil ke taraf lejata he.)
Akshada (pichese )- kya tum woh bat apne is dost ko bhi nahi bataoge..
Akshada ki batsun Akash kuch der rukta he fir- nahi yeh bat Kisi ko batane layak nahi he. Aur nahi Kisi ke sunne layak.
Akash- nahi esi koi bat nahi he Akshada ham Aaj bhi dost he.
Akshada- nahi Akash yahi bat he isi liye tum nahi bata rahe ho(Aur apna ghada utha kar jane lagti he.)
Kuch der chup rehkar Akshada.. Akshada- mai samajh saktihu Akash ki tum usko panasake is liye tum apni life me kuch karna nahi chahte aur ese bangaye. Par kya tum apno ke sath thik kar rahe ho jinhone tumhari aage ki jindagi ke liye kuch sapne dekhe honge..
Akash- tum kehna kya chahti ho
Akshada- mai tumhare pariwarwalo ki bat kar rahi hu Akash tum bhi jante ho ki unhone kitne sapne dekhe honge tumhare bareme ki tumko yeh banayenge, tum unka naam roshan karoge.. par tum apne akele ke sapno ki WAJAH se unsab ke sapno ko tod rahe ho ek bar tumko unke bare me bhi sochlkar aage koi faisla Lena chahiye tha..
Akshada- yesa nahi he Akash agar unhone yeh sab kiya he toh iske piche koi toh WAJAH hogi. Hamare ghaewale kabhi bhi hamare bareme bura nahi soch sakte Akash…
Akash- agar hamare gharwale hamare bareme bura nahi soch sakte toh tum mujhe yeh batao ki tumhare gharwalo ne kyu tumhari shadi bachpan mehi kardi thi. Kyu unhone tumhare bare me yeh nahi socha ki aage jakar tumhare bhi koi sapne honge tum bhi Kisi se apni marji se shadi karna chahogi batao mujhe kyu tumhare gharwalo ne tumhare sath esa kiya.
Akshada- tum is bat ko kahase kaha leja rahe ho Akash
Akash- nahi bat wahi he bas tum mujhe is bat ka jawab dedo ki kyu unhone tumhare sath esa kiya
Akshada- thik he toh suno unhone Jo bhi kiya he woh is samaj ke jhute ritiriwajo ki WAJAH se kiya is samaj ke dar ki WAJAH se kiya Aur rahi bat mere sapno kitoh Mera pahla sapna yahi tha ki mai hamesha apne pariwar ko khush rakhu Aur unke khushi ke liye hi mene unke is faisle ko manliya Akash..
Itna kehkar Akshada apni saheliyo ke sath chali jati he.
Akash( man me)- tum shayad sach keh rahi ho Akshada ki Aaj tum Meri nahi ho iski WAJAH mere ya tumhare gharwale nahi balki yeh samaj he jo Aaj tak apne purane ritiriwajo Aur kaydo se reh raha he. Isko Kisi ke pyar, sapno se koi farak nahi padta Kash yeh samaj ke ghatiya riwaj nahi hote Toh kash Aaj tum Meri hoti Akshada kash…
Idhar…. akshda aage apni sath ki ladkiyo ke sath tej tej chali jarahi thi.. Aur usko is bat ka pura yakin tha ki Akash uski bat jarur manega Aur fir se ik nai jindagi jiyega..
Woh sab jab Akash ke ghar ke samne se jarahi thi tab akshada Akash ki maa ko bahar khada dekh kar wahi raste par ruk jati he Aur uski saheliya aage nikal jati he..
Maa bhi apne ansu pochte huwe andar jane lagti he.. Aur apne Aap se kehti he…
Maa- tumhara SHUKRIYA ada kese karu beti, Aaj Jo tum ne mere liye kiya he uski kimat ik maa kabhi nahi laga sakti.. Kash is samaj ke jhute kanun – kayde na hote, kash yeh riti-riwaj na hote, kash tum Meri bahu ban pati kash….
KOMAL ne jese hi yeh last line padhi usko Akash par bahut gussa aya.. Aur woh is liye ki uske PATI ne yeh adhuri story apne ik purani dairy me likhi thi Jo komal ko Aaj subhah storeroom ki safai karte waqt mili thi..
Jab usne is dairy ko padhna start kiya toh usko usko yeh lagne laga tha ki Akash Kisi se pyar karta tha par woh apne pyar ko is samaj ke dar se paana saka Aur fir jese2 woh aage badhi tab usko is bare me yakin ho gaya tha par last me jab usne Akash ki – tu kabhi writer nahi ban sakta wali line padhi tab usko pata chala ki uska woh yakin, padhte waqt uske ankho me aye woh ansu sab bematlb ke the..
Komal – budhhu tujhe bhi kis ne bola tha is dairy me likhi bato ko sach manne ke liye.. upar se is storeroom ki bhi safai puri nahi ki.. hmm…… chalo ab Jaldi se safai puri kardeti hu
Uske bad woh apne kam par lagjati he par kam karte samay bhi woh us story ke bare mehi soch rahi thi.. fir achanak se usko yeh yad ata he ki us story me Jo bhi jaga ya fir baki Jo bhi kaha tha woh sab Akash ke gaav se milta julta tha..
Komal uske piche khadi hokar kehti he – toh Aaj konsi story likh rahe ho writer sahab
Akash piche mud kar- are kahski story Aur kahaka writer Bas kabhi kabhi kuch dimag me aye toh likh detahu, ha par jab bhi Aap ko dekhta hu najane kyu yeh dil kabhi ik shayar toh kabhi ik poet ban jata he..
Komal(jhute gusse se )- huh.. Aap Aur mujhe dekh kar shayar banjate he.. jao jao yeh maska Kisi Aur ko maro
Akash- are sach me Meri jaan agar kaho toh abhi ik adh shayri Aap ki khubsurti par sunadu
Komal- ji nahi iski koi jarurat nahi, wese bhi mai Aap ko lunch par bulane aai thi chaliye Jaldi, uske bad mujhe baki ghar ki safai bhi karni he..
Akash- are.. lunch ka kya he woh toh hota rahega pahle idhar aao Aur yeh dekho mene kya banaya he..
Fir Akash komal ko apne laptop me kuch dikhata he jisko dekh kar komal kehti he..
Komal – yeh kya he mujhe kuch samajh nahi araha..
Akash- yeh blueprint he hamare sapno ke ghar ka jisko Aap ke architect pati ne banaya he Jo jald hi pura hoga..
Komal- wow mai bahut khush hu..( kuch soch kar) isko ham maa ka naam denge..
Akash- thik he.. jesa tum kaho… (komal ke pet par hath rakh kar jo 2months pregnant thi) toh lage hath yebhi batado ki Aap ke is badmash bete ka kya naam rakhogi tum.
Komal-beta nahi hame ik pyari si beti hogi..
Akash- kya? Tum ne yeh achanak apna plan kyu badal diya tumhe toh beta chahiye thana..
Komal- ha par ab mujhe ik beti chahiye cute si pyari si jiska naam ham, (sochte huwe) hmm…. AKSHADA ha hsm AKASHDA naam rakhenge..
Comments
Post a Comment